Jurm Mohammadabadi

wahi josh-e-haq-shanasi wahi azm-burd-bari

Jurm Mohammadabadi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1903-1980
vahī josh-e-haq-shanāsī vahī azm-burd-bārī
na badal sakā zamāna mirī ḳhū-e-vaza-dārī
vahī mai-kada hai lekin nahīñ ab vo kaif-bārī
ga.e ham mazāq le ke mirā lutf-e-bāda-ḳhvārī
ho zabān jis ke muñh meñ vo na aa.e anjuman meñ
kahīñ rakh na de sitam-gar yahī shart-e-rāz-dārī
kabhī hañste hañste ronā kabhī rote rote hañsnā
koī kyā samajh sakegā bhalā maslahat hamārī
maiñ zamāne bhar ke ta.ane na ḳhamosh ho ke suntā
jo junūn-e-ishq hotā mirā fe.al-e-iḳhtiyārī
mai-e-āshiqī se tauba hai junūn-e-pārsā.ī
kahīñ le na Duube vaa.iz tujhe zo.am-e-hoshiyārī
na pahuñch sakā jahāñ tak kabhī pā-e-kibr-o-dānish
vahīñ 'jurm' le ga.ī hai mujhe merī ḳhāksārī
Top Urdushayar.com