Shariq Adeel

utar raha tha samundar sarab ke andar

Shariq Adeel

utar rahā thā samundar sarāb ke andar
bichhaḌ ke ḳhud se milā jab maiñ ḳhvāb ke andar
rageñ khiñchīñ to badan ḳhvāb kī tarah TuuTā
ḳhalā kā zo.am bharā thā habāb ke andar
maiñ māh-o-sāl kā kab tak hisāb likhtā rahūñ
asiir puurī sadī hai azaab ke andar
nazar ko faiz milā to laboñ pe mohr lagī
furāt yuuñ bhī milī hai sarāb ke andar
ajab junūn mirī uñgliyoñ meñ jaagā hai
ki ḳhuun DhūñD rahī haiñ gulāb ke andar
Top Urdushayar.com