havā kī rāh-numā.ī pe shak nahīñ rakhte
ham apne paañv ke nīche saḌak nahīñ rakhte
hamārī āñkhoñ meñ ik aisā ḳhvāb simTā hai
pa.e surūr palak par palak nahīñ rakhte
havā dahāḌ ke Takrā.e bhī to kyā hāsil
pahāḌ apne badan meñ lachak nahīñ rakhte
tum us ko kund samajh kar na dhokā khā jaanā
ham apnī teġh-e-anā par chamak nahīñ rakhte
hamārī galiyoñ meñ aise bhī log aate haiñ
zamīñ pe pair haiñ rakhte dhamak nahīñ rakhte