junūñ ziyāda bahut hotā aql kam hotī
maiñ qahqaha bhī lagātā to aañkh nam hotī
hazāroñ chāñd sitāre chamak ga.e hote
kabhī nazar jo tirī mā.il-e-karam hotī
nahīñ hai maslahat-e-ġham ko aarzū tirī
tirā jo ġham bhī na hotā to aañkh nam hotī
har ek zahr ko tum ne banā diyā tiryāk
jo tum na hote har ik saañs merī sam hotī
Thahar na jaatā agar maiñ farāz par 'māmūn'
talāsh-e-ġham bhī mirī hāsil-e-adam hotī