aisā ho zindagī meñ koī ḳhvāb hī na ho
añdhiyārī raat meñ koī mahtāb hī na ho
sūkhe daraḳht kī tarah dariyā meñ gir paḌeñ
marne ke vāste koī sailāb hī na ho
puujā kareñ magar na duā ko uThā.eñ haath
shahr-e-havas meñ ma.abad-e-arbāb hī na ho
mar jaa.eñ is se pahle ki vo faisla kareñ
hāthoñ meñ koī pyāla-e-zahrāb hī na ho
'māmūn' jal ke ḳhaak meñ mil jaa.e chashm-e-tar
aañsū bahāne chashma-e-sardāb hī na ho