Khaleel Mamoon

shab-e-siyah se niklega mahtab koi

Khaleel Mamoon

Bangalore, Karnataka, India

1949
shab-e-siyāh se niklegā māhtāb koī
ufuq meñ dekhte rahiyegā roz ḳhvāb koī
javāb DhūñD ke saare jahāñ se jab lauTe
hameñ to kar gayā yak-laḳht lā-javāb koī
chaman se nikle haiñ ik phuul toḌ kar ham bhī
lahūluhān se hāthoñ meñ hai gulāb koī
mileñ to kaise mileñ jaa.eñ to kahāñ jaa.eñ
ki kar rahā hai bahut ham se ijtināb koī
bikherte hue sonā zamīñ meñ chāroñ taraf
ubhar rahā hai samundar se āftāb koī
'māmūn' chāroñ taraf mere ab añdherā hai
ubhar ke Duub gayā mujh meñ āftāb koī
Top Urdushayar.com