Khaleel Mamoon

sarf chehra hi nazar aata hai aaine mein

Khaleel Mamoon

Bangalore, Karnataka, India

1949
sarf chehra hī nazar aatā hai ā.īne meñ
aks-e-ā.īna nahīñ dikhtā hai ā.īne meñ
silsila yaad kā jab zehn meñ jaag uThtā hai
ek dariyā sā umaD aatā hai ā.īne meñ
apnī āñkhoñ ko kabhī ġhaur se jab dekhtā huuñ
nuur chehra tirā jaag uThtā hai ā.īne meñ
rote rote jau kabhī paḌtī hai us samt nazar
koī namnāk diyā jaltā hai ā.īne meñ
kabhī aisā bhī huā hai ki shab-e-furqat meñ
aks ubhar kar tirā kho jaatā hai ā.īne meñ
taire chehre kī hañsī dekh ke yuuñ lagtā hai
phuul jaise koī khil uThtā hai ā.īne meñ
kyā ḳhabar kaisā lage aks jo bāhar aa jaa.e
us ko rahne do vahīñ achchhā hai ā.īne meñ
us meñ jo Duubā kabhī vo na ubharne paayā
maujzan ek siyah dariyā hai ā.īne meñ
ā.īna-ḳhāna meñ kyā ham se chhupā hai 'māmūn'
ham ne kyā kyā na bhalā dekhā hai ā.īne meñ
Top Urdushayar.com