masrūf-e-ġham haiñ kaun-o-makāñ jāgte raho
ḳhvāboñ se uTh rahā hai dhuāñ jāgte raho
haiñ shaam ke nasīb meñ taare na āsmāñ
ruk sā gayā hai qalb-e-jahāñ jāgte raho
dil meñ ḳhayāl hai na nazar meñ savāl hai
baaqī nahīñ hai koī nishāñ jāgte raho
chāñd aur sitāre maañd haiñ sūraj bhī zard zard
phīkī paḌī hai kāhkashāñ jāgte raho
puujā ke phuul suukh ga.e intizār meñ
soyā huā hai shahr-e-butāñ jāgte raho