is shahr-e-sañg-e-saḳht se ghabrā gayā huuñ maiñ
jañgal kī ḳhushbuoñ kī taraf jā rahā huuñ maiñ
manzar ko dekh dekh ke āñkheñ chalī ga.iiñ
hāthoñ se aaj apnā badan DhūñDhtā huuñ maiñ
chillā rahā hai koī mere lams ke liye
añdhiyārī vādiyoñ se nikal bhāgtā huuñ maiñ
qātil ke haath meñ koī talvār hai na teġh
vo muskurā rahā hai marā jā rahā huuñ maiñ
mujh ko vo mere dil ke evaz de sakeñge kyā
'māmūn' duniyā vāloñ se kyā māñgtā huuñ maiñ