gumān-e-zaḳhm-e-tamannā thā ab talak mujh ko
nahīñ hai daaġh bhī dil meñ na thī bhanak mujh ko
chalā gayā to kabhī lauT kar nahīñ aayā
pukārtā rahā ā.īna-e-falak mujh ko
ab is ko DhūñDhtā phirtā huuñ shahr o dariyā meñ
chalā gayā vo dikhā kar bas ik jhalak mujh ko
niDhāl huuñ maiñ ġham-e-dil se hosh kab hai mujhe
banā.e rakhtī hai ik huuk ik kasak mujh ko
mujhe to ishq hai phūloñ meñ sirf ḳhushbū se
bulā rahī hai kisī laala kī mahak mujh ko
naqāb uTThā to ik sho.ala sā bhaḌak uTThā
jalā ga.ī hai tire chehre kī jhamak mujh ko
taras rahā thā ujāloñ ko kab se maiñ 'māmūn'
par andhā kar ga.ī sūraj kī ik chamak mujh ko