hamāre paas na dil hai na dil kī baat koī
guzar rahī hai hamāre saroñ se raat koī
akele milte haiñ sahrā ho yā ki dariyā ho
kisī ke saath nahīñ ham na apne saath koī
hamāre chehre pe sau rañg kī bahāreñ haiñ
ki jaise qalb meñ zinda hai kā.enāt koī
ab is ke ba.ad havā.eñ hī is kā muddat haiñ
shajar se TuuT rahā hai ḳhizāñ meñ paat koī
tamām fitna-e-daurāñ mujhī se ubhre haiñ
kahāñ hai ziist meñ mujh se alaihida zaat koī
hazār baar girā.ī haiñ us kī dīvāreñ
ki jaise dil bhī nahīñ dil hai somnāt koī
abas maiñ kaaT rahā huuñ ye zindagī 'māmūn'
nahīñ hai jiit koī is meñ aur na maat koī