TuuTā hai purānā saada pul lafzoñ kā
ab rishta hai duniyā se faqat āñkhoñ kā
vo bhuul ga.e haiñ to ajab kyā is meñ
thā khel ye to guzre hue lamhoñ kā
ik lamhe meñ sab ḳhatm hai maazī ho ki haal
yādoñ kā ḳhazāna thā bahut barsoñ kā
sab log hameñ ek nazar aate haiñ
andāza nahīñ hotā hai ab chehroñ kā
'māmūn' haiñ bāteñ havā kā jhoñkā
ham ko to bharosa hī nahīñ bātoñ kā