Khaleel Mamoon

bula raha hai mujhe aasman tumhaari taraf

Khaleel Mamoon

Bangalore, Karnataka, India

1949
bulā rahā hai mujhe āsmāñ tumhārī taraf
jalā ke niklā huuñ sab āshiyāñ tumhārī taraf
maiñ jāntā huuñ ki saare jahāñ haiñ ḳhatm yahāñ
mujhe milegā na koī jahāñ tumhārī taraf
ḳhamoshiyoñ kā bas ik silsila hai duur talak
na koī lafz na koī zabāñ tumhārī taraf
har ek jiitā hai vus.at meñ kā.enātoñ ke
koī banātā nahīñ hai makāñ tumhārī taraf
mare ho.uuñ ko koī maare kis tarah āḳhir
na koī tiir na koī sināñ tumhārī taraf
na koī dariyā na parbat na āshiyāñ na shajar
zamīñ hai koī na hī āsmāñ tumhārī taraf
zuhūr-e-ishq kī duniyā ko chhoḌ aayā huuñ
maiñ ḳhud ko kartā huuñ sab se nihāñ tumhārī taraf
maiñ manziloñ se bahut duur aa gayā 'māmūn'
safar ne kho diye saare nishāñ tumhārī taraf
Top Urdushayar.com