Khaleel Mamoon

ghar ko yun toDo ki phir hasrat-e-tamir na ho

Khaleel Mamoon

Bangalore, Karnataka, India

1949

ghar ko yuuñ toḌo ki phir hasrat-e-tāmīr na ho

koī taqdīr na ho aur koī tadbīr na ho

aise mar jaa.eñ koī naqsh na chhoḌeñ apnā

yaad dil meñ na ho aḳhbār meñ tasvīr na ho

baiThe baiThe yūñhī añdhiyāre meñ zaa.il ho jaa.eñ

koī dam-sāz na ho koī ḳhabar-gīr na ho

niiñd meñ titliyāñ āñkhoñ meñ lahaktī jaa.eñ

ḳhvāb dekheñ magar us ḳhvāb ta.abīr na ho

kaun santā hai mire sher yahāñ ab 'māmūn'

ain-mumkin hai mirī baat meñ tāsīr na ho

Top Urdushayar.com