zaḳhmī diloñ kī pyaas sarāboñ meñ gum huī
jo chashm vā thī bujhte charāġhoñ meñ gum huī
phirtī hai us ko DhūñDtī ab maut kū-ba-kū
ye zindagī to terī nigāhoñ meñ gum huī
chalnā likhā hai apne muqaddar meñ umr bhar
manzil hamārī dard kī rāhoñ meñ gum huī
ham DhūñDne chale haiñ kahāñ paikar-e-ḳhayāl
chashm-e-havas to gum-shuda ḳhvāboñ gum huī
ḳhushbū ne rasta chhoḌ diyā intizār kā
miTTī meñ ḳhufta bikhre gulāboñ meñ gum huī
aurāq ke palaTne se kuchh bhī nahīñ milā
dānish hamārī saarī kitāboñ meñ gum huī
'māmūn' zauq-e-ishq se miltā bhī kyā hameñ
āb-e-ravāñ kī mauj kitāboñ meñ gum huī