Khaleel Mamoon

jhulaste lamhon ka lams le kar main chal raha hun

Khaleel Mamoon

Bangalore, Karnataka, India

1949
jhulaste lamhoñ kā lams le kar maiñ chal rahā huuñ
ḳhud apnī dozaḳh kī aag khā kar maiñ pal rahā huuñ
safar kī rūdād bhī mirī kuchh ajiib sī hai
maiñ aḳhzarī pahāḌiyoñ se gir kar sambhal rahā huuñ
mirā vajūd o adam bhī ik hādsa nayā hai
maiñ dafn huuñ kahīñ kahīñ se nikal rahā huuñ
chitā bujhā de koī koī asthiyāñ bahā de
maiñ aarzū meñ sahar kī sadiyoñ se jal rahā huuñ
samundaroñ kā svaad merī zabān par hai
maiñ sūñgh kar machhliyoñ kī ḳhushbū machal rahā huuñ
nahīñ hai 'māmūn' saath mere yahāñ pe koī
akelā hī zindagī kī rāhoñ pe chal rahā huuñ
Top Urdushayar.com