na niiñd hai na ḳhvāb hai na yaad hai na raat hai
zamīñ na āsmān hai zamāñ na kā.enāt hai
ye jism-o-jāñ kā qāfila hai rāsta pe kaun se
na manziloñ kī aas hai na rahravoñ kā saath hai
umiid o aarzū ke rañg kyuuñ phīke lag rahe haiñ ab
kamī hai āb-o-gil meñ kuchh lahū meñ koī baat hai
hai un ke vāste tamām fat.h-o-kāmrāniyāñ
mire liye hamesha se jo hai to sirf maat hai
maiñ lahza lahza kaT ke gir rahā huuñ andhī khaa.ī meñ
ye zindagī kā rāsta nahīñ hai pul-sirāt hai
hai vasl apne-āp se firāq apne-āp se
nahīñ hai koī bhī yahāñ bas ek merī zaat hai
'māmūn' azal se tā-abad nahīñ hai koī raushnī
ḳhalā meñ duur duur tak bas ik aziim raat hai