Kishwar Naheed

zehn rahta hai badan KHwab ke dam tak us ka

Kishwar Naheed

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1940
zehn rahtā hai badan ḳhvāb ke dam tak us kā
phir vahī rañj vahī ḳhema-e-ġham tak us kā
merī āñkheñ merī dahlīz pe rakh detā hai
ḳhaas hai mere liye shauq-e-sitam tak us kā
hai mere āb-e-mohabbat se vo shādāb bahut
merī pahchān meñ hai qāmat-e-nam tak us kā
bādbāñ ab to havāoñ ko bhī pahchānte haiñ
haath pahuñchā hai bahut der meñ ham tak us kā
dil-e-afsurda sar-e-shām sulag uThtā hai
sāhil-e-jāñ rakhe ab kaise bharam tak us kā
vo to jhoñke kī tarah aa ke guzar jaatā hai
dasht-e-jāñ us kā hai aur ḳhvāb-e-iram tak us kā
kū-e-ehsās tire hausle taslīm magar
sehn-e-zindāñ hī lage naqsh-e-qadam tak us kā
baat ā.īne se karne ko bhī mauqa.a DhūñDeñ
ḳhalvat-e-shauq tarāshe hai sanam tak us kā
Top Urdushayar.com