Wafa Naqvi

rawana wo bhi hua hai nae safar ke liye

Wafa Naqvi

Shikarpur, Uttar pradesh, India

1983
ravāna vo bhī huā hai na.e safar ke liye
talāsh karnī hai roTī mujhe bhī ghar ke liye
dikhā.ī detā hai sūraj bhī kuchh pareshāñ sā
udaas maiñ hī nahīñ huuñ kisī shajar ke liye
safar pe jā.ūñ maiñ asbāb aur kyā le kar
ki terī yaad hī kaafī hai rahguzar ke liye
bichhaḌte vaqt udāsī kā rañg thā jin par
nazar ne bose bahut aise bām-o-dar ke liye
ġhubār kab hai khulā hai rafāqatoñ kā gulāb
huā nahīñ hai koī ḳhat hai be-ḳhabar ke liye
madīna chhoḌā to kuufa huā nasīb hameñ
ki hijrateñ hī milīñ ham ko umr-bhar ke liye
sipāh-e-shām hameñ āftāb kahtī hai
bulandiyāñ haiñ sināñ kī hamāre sar ke liye
Top Urdushayar.com