mausam ho koī yaad ke ḳheme nahīñ uThte
sahrā se tire chāhne vaale nahīñ uThte
haiñ raqs ke aalam meñ sulagte hue chehre
aise to kisī ghar se janāze nahīñ uThte
ik pyaas ne kaisā ye mujhe toḌ diyā hai
hāthoñ se mire aaj bhī kuuze nahīñ uThte
sūraj ke tamāñche se falak jaag gayā hai
bistar se magar phir bhī sitāre nahīñ uThte
ghar apne namāzī to sabhī lauT ga.e haiñ
masjid se magar aaj musalle nahīñ uThte
muddat se shab-o-roz ke māthe pe likhā hai
aa jaa.eñ jo ik baar zamāne nahīñ uThte
hai us ke azāboñ pe karam us kā musallat
rahmat ke kabhī ghar se farishte nahīñ uThte