ġhurūb hote hue sūrajoñ ke paas rahe
udaas shaam kī mānind ham udaas rahe
khañDar sā ek makāñ tāktā hai rastoñ ko
na jaane aaj kahāñ is ke ġham shanās rahe
bahār aa.ī to saj-dhaj ke ho ga.e tayyār
daraḳht sirf ḳhizāoñ meñ be-libās rahe
ye kah ke ho ga.e thoḌe se bevafā ham bhī
hamesha kaun mohabbat meñ devdās rahe
mire ḳhayāl meñ tauhīn hai aqīdat kī
samundaroñ meñ rahūñ aur laboñ pe pyaas rahe