Wafa Naqvi

koi charagh na jugnu safar mein rakkha gaya

Wafa Naqvi

Shikarpur, Uttar pradesh, India

1983
koī charāġh na jugnū safar meñ rakkhā gayā
dil-o-dimāġh ko jab apne ghar meñ rakkhā gayā
khurach khurach ke likhā naam ek ḳhushbū kā
kisī kī yaad ko yuuñ bhī shajar meñ rakkhā gayā
jo ek lamhe ko chamkā thā tuur hastī par
vahī to aks hamesha nazar meñ rakkhā gayā
mirī nigāh ne dekhe nahīñ khañDar ab tak
mujhe to gaañv se pahle nagar meñ rakkhā gayā
mujhe hī fikr rahī ik anā ke miTne kī
ki ik junūn sā mere hī sar meñ rakkhā gayā
tarāshtī hī rahīñ us kī uñgliyāñ mujh ko
mirā vajūd kisī ke hunar meñ rakkhā gayā
ufuq pe phuul vafāoñ kā jab huā raushan
sisaktī shab ke lahū ko sahar meñ rakkhā gayā
Top Urdushayar.com