āñkheñ milā rahe haiñ vahī āsmān se
vāqif nahīñ haiñ log jo apne jahān se
kyā jaane kaisī jañg hai tishna-labī ke saath
ḳhanjar hī haath dhone lage apnī jaan se
ik dūsre ke ḳhuun kī pyāsī hai kā.enāt
rahtā nahīñ hai koī kahīñ bhī amaan se
tāj-e-shahī pe ḳhaak uḌātā rahā faqīr
miTTī ne umr kaaT hī lī apnī shaan se
ab sūrajoñ se haath milāne kā vaqt hai
uktā ga.e haiñ log bahut sā.ebān se
muddat se ro rahī hai samundar kī mauj mauj
kyā kah gayā thā koī laraztī zabān se
ham ne tamām-umr guzārī hai us ke saath
vahshat sī ho rahī hai hameñ jis makān se