tūda-e-ḳhāk-e-badan āb-e-ravāñ ḳhuub huā
ab ke barsāt meñ miTTī kā ziyāñ ḳhuub huā
aisā mahsūs huā tū nahīñ raazī mujh se
be-yaqīnī kā mujhe tujh pe gumāñ ḳhuub huā
ḳhusbū-e-ishq uḌī le ke paroñ par titlī
jis ko chāhā thā chhupānā vo ayaañ ḳhuub huā
koī jaltā huā manzar to nahīñ thā lekin
haañ magar raat sunā hai ki dhuāñ ḳhuub huā
ek sūraj ne mire jism pe kirneñ rakh diiñ
aaj raushan mirā tārīk makāñ ḳhuub huā