maiñ apnī zaat kī tafsīr karne vaalā kaun
maiñ ek ḳhvāb huuñ ta.abīr karne vaalā kaun
likhī huī hai jo dil kī zabāñ meñ dhaḌkan par
maiñ is kitāb ko tahrīr karne vaalā kaun
abhī to qaid se niklā huuñ un nigāhoñ kī
maiñ phir ḳhayāl ko zanjīr karne vaalā kaun
maiñ apne-āp ko jītūñ yahī munāsib hai
maiñ mumkināt ko tasḳhīr karne vaalā kaun
mujhe aziiz hai din kī masāfatoñ kā shu.ūr
maiñ ek raat kī ta.amīr karne vaalā kaun
mire vajūd ke sahrā kā kab taqāza hai
maiñ apnī pyaas ko tasvīr karne vaalā kaun
jahāñ lahū kī samā.at ho sañg-e-ḳhāmoshī
maiñ is maqām pe taqrīr karne vaalā kaun