kuchh log to itnī bhī muravvat nahīñ karte
milne kī kabhī ḳhud se bhī zahmat nahīñ karte
is baar to raste bhī mujhe rok rahe haiñ
dīvār-o-dar-o-bām hī ulfat nahīñ karte
bāzār meñ ab kaun ḳharīdār hai apnā
itnī bhī ziyāda abhī qīmat nahīñ karte
kyā hogā sar-e-shām jo ham hoñge na ghar meñ
ye soch ke ham shahr se hijrat nahīñ karte
kahte haiñ faqīroñ kī fazīlat pe qasā.ed
ham aaj bhī hukkām kī bai.at nahīñ karte
sajdoñ ke evaz ḳhuld-e-barīñ māñgne vaalo
kyuuñ apne makānoñ ko hī jannat nahīñ karte
chhup jaate haiñ āġhosh meñ sūraj kī hamesha
ye chāñd-sitāre kabhī rehlat nahīñ karte
sūkhe hue peḌoñ pe koī phuul nahīñ hai
kyuuñ in se parinde bhī mohabbat nahīñ karte
dīvār to uThtī huī dekheñge gharoñ meñ
vo log jo bachchoñ ko nasīhat nahīñ karte