bahte hue dariyā ke kināroñ kī tarah thā
tujh se mirā rishta kabhī ḳhvāboñ kī tarah thā
bistar pe utar aa.ī thiiñ mahtāb kī kirneñ
lahja tirā kal raat ujāloñ kī tarah thā
maiñ us ko paḌhā kartā thā har raat bahut der
vo shaḳhs mire paas kitāboñ kī tarah thā
kyā lams thā kyā zulf thī kyā surḳhī-e-lab thī
har rañg tirā jaise sharāboñ kī tarah thā
kuchh der ko ḳhush kar ke chale saare jahāñ ko
kyā apnā ta.alluq bhī tamāshoñ kī tarah thā
duniyā ne bahut chāhā ki naam us kā batā duuñ
vo dafn thā mujh meñ mire rāzoñ kī tarah thā
khone nahīñ detā thā mujhe bhiiḌ meñ ehsās
jakḌe hue mujh ko tirī bāñhoñ kī tarah thā