kahīñ añdhere kahīñ raushnī se Darte hue
tamām-umr guzārī hai ham ne marte hue
uḌā ke le to ga.ī shāḳh se sabhī patte
havā ne dukh bhī na pūchhā mirā guzarte hue
kahīñ ye ḳhvāb sī tasvīr bol uTThī to
ḳhayāl aayā musavvir ko rañg bharte hue
use to bojh uThānā thā apnī hastī kā
vo muskurā na sakā aaj bhī sañvarte hue
ye zindagī kā bayābāñ agar ijāzat de
zarā sī dhuup uThā luuñ yahāñ Thaharte hue