vo dariyā hai koī sahrā nahīñ hai
magar pur-josh bhī lagtā nahīñ hai
tujhe terā samundar ho mubārak
hamārī pyaas se achchhā nahīñ hai
vahī bārish kā charchā kar rahe haiñ
badan jin kā kabhī bhīgā nahīñ hai
kabhī dekhā nahīñ hai ham ne varna
zamīñ kī vus.atoñ meñ kyā nahīñ hai
abhī se aa ga.ī hai raat milne
abhī to chāñd bhī niklā nahīñ hai
nigāheñ tak rahī haiñ ghoñsle kī
parinda lauT kar aayā nahīñ hai
maiñ rukne ke liye aayā thā ghar meñ
kisī ne kyuuñ mujhe rokā nahīñ hai
kahāñ asrār apne pā sakegā
abhī ḳhud meñ koī bhaTkā nahīñ hai
sabhī kirdār achchhe lag raheñ haiñ
kahānī meñ koī sachchā nahīñ hai
mah-e-kan.āñ hai ahd-e-nā-rasā.ī
abhī bāzār tak pahuñchā nahīñ hai
zamīñ par zor hai jādūgaroñ kā
asā-e-hazrat-e-mūsā nahīñ hai
samundar to mathe jaatī hai duniyā
koī bhī vish magar piitā nahīñ hai