samundaroñ se kabhī dasht se guzarne meñ
hue tamām safar zindagī kā karne meñ
bas us ne aa ke zarā aa.ine ko dekhā thā
zarā sī der lagī raushnī bikharne meñ
bichhaḌnā shāḳh se kal bhī hai aur aaj bhī hai
to āñdhiyoñ se bhalā kyā rakhā hai Darne meñ
maiñ be-sabab hī muḳhātab huā darīche se
nahā rahā thā vo yādoñ ke ek jharne meñ
bas ek pal kī tamannā-e-vasl kī ḳhātir
tamām-umr lagā dī ga.ī sañvarne meñ
ye aur baat junūñ ko sukūñ mile mile na mile
tabīb lag to ga.e ek zaḳhm bharne meñ
na jaane saare parinde kahāñ hue ġhā.eb
maza rahā hī nahīñ saa.e meñ Thaharne meñ