safar āsān hai lekin use dushvār karte haiñ
dar-o-dīvār ghar ke yaad ham sau baar karte haiñ
inhīñ tārīk rātoñ se nikal aa.egā ik sūraj
añdheroñ ke safīne par shab-e-ġham paar karte haiñ
samundar ke kināre par Thaharte haiñ gharauñde kab
ajab kār-e-junūñ hai aap ye be-kār karte haiñ
bulā lete haiñ tārīkī vo apne ghar ke āñgan meñ
ujāle kyuuñ magar saare pas-e-dīvār karte haiñ
chhupā rahtā hai dast-e-ārzū ḳhuddār logoñ kā
baḌī mushkil se apnī zaat kā iz.hār karte haiñ
hameñ sākit nahīñ rahnā muāfiq haiñ havāoñ ke
hamārī ḳhaak uḌtī hai ye ham iqrār karte haiñ
thakan uThne nahīñ detī kisī nākām hasrat kī
savere ḳhvāb hī tere mujhe bedār karte haiñ
ḳhamoshī bhī to paiġhām-e-tamannā-e-dil-o-jāñ hai
zabāñ jin kī nahīñ hotī vahī takrār karte haiñ
zamāna tere hāthoñ par kare bai.at ye mumkin hai
yazīd-e-vaqt ham terā magar inkār karte haiñ