Wafa Naqvi

charagh jab se mere tirgi se haar gae

Wafa Naqvi

Shikarpur, Uttar pradesh, India

1983
charāġh jab se mire tīrgī se haar ga.e
havā se haath milāne ko saare yaar ga.e
har ek baar safar merā muḳhtasar kyuuñ thā
safīne mujh ko hī sāhil pe kyuuñ utaar ga.e
tirī sarā.e meñ sāmāñ kahāñ sukūn kā thā
kisī tarah se musāfir bhī shab guzār ga.e
maiñ jin ko saa.e meñ rakhtā thā tapte sahrā meñ
ġhazab hai log vahī mujh pe sañg maar ga.e
huī jo shaam to lauTe vatan meñ apne hī
parinde yuuñ to bahut sarhadoñ ke paar ga.e
burīda-sar hī nahīñ the lahū meñ Duube hue
sunā hai neze adū ke bhī ashk-bār ga.e
badan pe sab ke qabā.eñ thiiñ surḳh āñkhoñ kī
ajab tarah se ḳhizāoñ meñ gul-e-ezār ga.e
Top Urdushayar.com