baḌī udaas haiñ shāmeñ tire visāl ke ba.ad
ki zaḳhm phir se ubhar aa.e indimāl ke ba.ad
tumhārī baat hī taslīm kī bahar-sūrat
zamāne bhar ke dimāġhoñ ne qīl-o-qāl ke ba.ad
kahāñ huuñ kaun huuñ kaisā huuñ maiñ kahāñ kā huuñ
koī ḳhayāl na aayā tire ḳhayāl ke ba.ad
huī nasīb na izzat hayāt meñ jis ko
sajā huā thā vahī ghar meñ intiqāl ke ba.ad
bhulā sakegī na sūraj kī dāstān zamīn
gayā hai ḳhema-e-shab meñ vo kis kamāl ke ba.ad
ḳhamoshiyoñ kī zabāneñ haiñ surḳh āñkhoñ meñ
ajiib tarz-e-takallum hai ik savāl ke ba.ad