kahīñ ye ḳhvāb mirā zindagī na ban jaa.e
charāġh bujhtā huā raushnī na ban jaa.e
maiñ is ḳhayāl se rotā nahīñ huuñ sahrā meñ
kahīñ ye dasht kisī din nadī na ban jaa.e
irāda kar to rahe ho use chalāne kā
magar ye tiir tumhārā hañsī na ban jaa.e
azāb-e-vasl gavārā to hai hameñ lekin
ye ek lamha rahe ik sadī na ban jaa.e
ajiib rañg haiñ khīñche hī jā rahe haiñ mujhe
jo maiñ banātā nahīñ huuñ vahī na ban jaa.e
samundaroñ meñ jise maiñ ne bahte dekhā hai
mirā nasīb vo tishna-labī na ban jaa.e
bhaTak rahā hai bahut rāt-din koī mahtāb
makān us kā kahīñ be-gharī na ban jaa.e
tamām-umr jo tanhā.ī meñ rahā merī
vo anjuman meñ kahīñ ajnabī na ban jaa.e
usī ḳhayāl se toḌe ga.e sabhī kashkol
hamāre shahar meñ koī saḳhī ban jaa.e