ye Thiik hai vo ham ko mayassar nahīñ huā
lekin kahāñ kahāñ vo munavvar nahīñ huā
lauTā jo shaam ko to koī muntazir na thā
is baar be-qarār mirā ghar nahīñ huā
kyā jaane kab utarne lage vo dimāġh par
koī junūñ kā vaqt muqarrar nahīñ huā
sab jītne kī zid pe yahāñ hārne lage
sadiyoñ se koī shaḳhs sikandar nahīñ huā
baazū to kaT ke juḌ ga.e merī hayāt se
lekin abhī nasīb mujhe sar nahīñ huā
phal toḌ letā aaj maiñ apnī hayāt kā
achchhā huā ki haath meñ patthar nahīñ huā
sahrā se lākhoñ baar nichoḌī ga.ī hai pyaas
phir bhī samundaroñ kā galā tar nahīñ huā