ai ḳhudā jab se atā kī tū ne peshānī mujhe
sar uThāne meñ huī hai kitnī āsānī mujhe
apne dil meñ hī basā rakkhī hai maiñ ne kā.enāt
koī kah saktā nahīñ ab naqsh-e-vīrānī mujhe
aise vahshat-nāk manzar mujh meñ aate haiñ nazar
ab nahīñ hotī kisī par koī hairānī mujhe
saiñkaḌoñ sadiyoñ se sahrā kī sadā ke saath huuñ
raas aa saktī nahīñ dariyā kī sultānī mujhe
us taraf hī chal paḌūñgā sochne kā kyā maqām
jis taraf le jā.egī ye rāh-e-anjānī mujhe