Wafa Naqvi

dariya tha mauj gham thi safina koi na tha

Wafa Naqvi

Shikarpur, Uttar pradesh, India

1983
dariyā thā mauj ġham thī safīna koī na thā
tārīk rāste the ujālā koī na thā
phir bhī tumhāre shahr ne rakkhā mirā ḳhayāl
hālāñki merā chāhne vaalā koī na thā
palkoñ pe sab kī bojh hai ik ehtiyāt kā
kal raat mere gaañv meñ soyā koī na thā
sab log chal rahe the saḌak par milā ke haath
dekhā jo ġhaur se to kisī kā koī na thā
māyūs kar diyā thā kisī ke fareb ne
bujhtī huī nigāh meñ chehra koī na thā
andar se ho chuke the bahut muzmahil se log
bāhar se dekhne ko to TuuTā koī na thā
dastak huī thī pahle sī mere makān meñ
bāhar nikal ke aaj bhī dekhā koī na thā
Top Urdushayar.com