bas yahī baat yahāñ harf-e-malāmat kī hai
maiñ ne dariyā kī nahīñ dasht kī bai.at kī hai
qatl sūraj ko kiyā vo bhī chhupā kar ḳhanjar
shaam vāloñ ne sahar meñ ye siyāsat kī hai
varna kyā ham ko ġharaz haal tumhārā pūchheñ
baat ye kuchh bhī nahīñ sirf mohabbat kī hai
ham to maujoñ se laḌe aur kināre pahuñche
ham ne kab Dūbtī kashtī kī himāyat kī hai
abhī dālān meñ utre nahīñ shab ke saa.e
jaane vaale ne sunā ye hai ki ujlat kī hai
ab añdhere hī añdhere haiñ galī-kūchoñ meñ
chāñd-tāroñ ne mire shahr se hijrat kī hai
ab use DhūñDne niklī haiñ barahna yādeñ
jis ne kāġhaz ke libāsoñ kī tijārat kī hai
mere hoñToñ pe ḳhamoshī ke paḌe haiñ taale
merī āñkhoñ ne mirī aaj bhī shohrat kī hai