Shahzad Ahmad

be-tabi-e-gham-ha-e-darun kam nahin hogi

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
be-tābī-e-ġham-hā-e-darūñ kam nahīñ hogī
ye aag to ab tum se bhī maddham nahīñ hogī
dāman ko ziyā-e-ruḳh-e-mahtāb se bhar le
ab bārish-e-anvār hai paiham nahīñ hogī
tū hī dil-e-betāb jo so jaa.e to so jaa.e
ye chāñdnī is raat to maddham nahīñ hogī
maiñ un ke liye ġhair huuñ vo mere liye ġhair
achchhā hai ki ab ranjish-e-bāham nahīñ hogī
ham sab ko sunā kar hī raheñge ġham-e-hastī
āvāz kisī shor meñ mudġham nahīñ hogī
ab qāfila-e-zīst hī ruk jaa.e to ruk jaa.e
ye dard kī lazzat to kabhī kam nahīñ hogī
Top Urdushayar.com