Shahzad Ahmad

jis ne teri aankhon mein shararat nahin dekhi

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
jis ne tirī āñkhoñ meñ sharārat nahīñ dekhī
vo laakh kahe us ne mohabbat nahīñ dekhī
ik ruup mire ḳhvāb meñ lahrā sā gayā thā
phir dil meñ koī chiiz salāmat nahīñ dekhī
ā.īna tujhe dekh ke gulnār huā thā
shāyad tirī āñkhoñ ne vo rañgat nahīñ dekhī
yuuñ naqsh huā aañkh kī putlī pe vo chehra
phir ham ne kisī aur kī sūrat nahīñ dekhī
ḳhairāt kiyā vo bhī jo maujūd nahīñ thā
tū ne tahī-dastoñ kī saḳhāvat nahīñ dekhī
sad-shukr guzārī hai qayāmat tan-e-tanhā
us raat kisī ne mirī hālat nahīñ dekhī
kyā tujh se kaheñ kaise kaTī kaise kaTegī
achchhā hai ki tū ne ye musībat nahīñ dekhī
shāyad isī baa.is vo firozāñ hai abhī tak
sūraj ne kabhī raat kī zulmat nahīñ dekhī
sab kī tarah tū ne bhī mire aib nikāle
tū ne bhī ḳhudāyā mirī niyyat nahīñ dekhī
tinkā huuñ magar sail ke raste meñ khaḌā huuñ
ai bhāgne vaalo mirī himmat nahīñ dekhī
jo Thaan liyā dil meñ vo kar guzrā huuñ 'shahzād'
aa.ī huī sar par koī aafat nahīñ dekhī
Top Urdushayar.com