jo shajar suukh gayā hai vo harā kaise ho
maiñ payambar to nahīñ merā kahā kaise ho
dil ke har zarre pe hai naqsh mohabbat us kī
nuur āñkhoñ kā hai āñkhoñ se judā kaise ho
jis ko jaanā hī nahīñ us ko ḳhudā kyuuñ māneñ
aur jise jaan chuke haiñ vo ḳhudā kaise ho
umr saarī to añdhere meñ nahīñ kaT saktī
ham agar dil na jalā.eñ to ziyā kaise ho
jis se do roz bhī khul kar na mulāqāt huī
muddatoñ ba.ad mile bhī to gilā kaise ho
duur se dekh ke maiñ ne use pahchān liyā
us ne itnā bhī nahīñ mujh se kahā kaise ho
vo bhī ik daur thā jab maiñ ne tujhe chāhā thā
dil kā darvāza hai har vaqt khulā kaise ho
jab koī dād-e-vafā chāhne vaalā na rahā
kaun insāf kare hashr bapā kaise ho
aa.ine meñ bhī nazar aatī hai sūrat terī
koī maqsūd-e-nazar tere sivā kaise ho
kin nigāhoñ se use dekh rahā huuñ 'shahzād'
mujh ko ma.alūm nahīñ us ko patā kaise ho