dil o nazar pe tire ba.ad kyā nahīñ guzrā
tujhe gumāñ ki koī hādsa nahīñ guzrā
vahāñ vahāñ bhī mujhe le gayā hai shauq-e-safar
kabhī jahāñ se koī qāfila nahīñ guzrā
agarche tū bhī nahīñ ab diloñ kī duniyā meñ
magar yahāñ koī tere sivā nahīñ guzrā
ham ab to us ko bhī ik hādsa samajhte haiñ
ḳhayāl thā ki koī hādsa nahīñ guzrā
kabhī kabhī nazar aa.ī umiid bhī 'shahzād'
hamārā vaqt kabhī ek sā nahīñ guzrā