Shahzad Ahmad

dil bahut masruf tha kal aaj be-karon mein hai

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
dil bahut masrūf thā kal aaj be-kāroñ meñ hai
saat pardoñ meñ jo rahtā thā vo bāzāroñ meñ hai
ḳhaak ke putle falak kī sarhadoñ ko chhū chuke
aur jise insān kahte haiñ abhī ġhāroñ meñ hai
laaj rakh lete haiñ merī muñh pe kuchh kahte nahīñ
dushmanī kā kuchh salīqa to mire pyāroñ meñ hai
sab ko dekhā aur kisī ko dekh kar TuuTā nahīñ
aa.ina shāyad abhī apne parastāroñ meñ hai
dhuup kaisī thī ki mere haath kaale kar ga.ī
tīrgī kā rañg shāyad nuur ke dhāroñ meñ hai
sab sadā.eñ lafz haiñ lafzoñ ke pīchhe kuchh nahīñ
dekhnā ye hai ki koī sar bhī dastāroñ meñ hai
bar-sar-e-paikār donoñ haiñ natīja kuchh nahīñ
josh hai dariyāoñ meñ aur sabr dīvāroñ meñ hai
ḳhair o shar kī mish.aloñ ko tū bujhātā kyuuñ nahīñ
maiñ to kyā huuñ ik farishta bhī gunahgāroñ meñ hai
dekhte kyā ho ki ḳhud manzar tumheñ takne lagā
bechte kyā ho ki yūsuf bhī ḳharīdāroñ meñ hai
koī bhī manzil nahīñ apnī kashish donoñ taraf
paañv miTTī meñ gaḌe haiñ aañkh sayyāroñ meñ hai
ab haqīqat jaan kar 'shahzād' kyā lenā mujhe
vaj.h-e-ġhāza hī sahī sho.ala to ruḳhsāroñ meñ hai
Top Urdushayar.com