Shahzad Ahmad

waqia koi na jannat mein hua mere baad

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
vāqi.a koī na jannat meñ huā mere ba.ad
āsmānoñ pe akelā hai ḳhudā mere ba.ad
phir dikhātā hai mujhe jannat-e-firdaus ke ḳhvāb
kyā farishtoñ meñ tirā jī na lagā mere ba.ad
kuchh nahīñ hai tirī duniyā meñ hayūloñ ke sivā
mujh se pahle bhī vahī thā jo huā mere ba.ad
ḳhāk-e-sahrā-e-junūñ narm hai resham kī tarah
aabla hai na koī ābla-pā mere ba.ad
mere anjām pe hañsne kī tamannā na karo
kam hī badlegī gulistāñ kī havā mere ba.ad
ḳhatm afsāna huā baat samajh meñ aa.ī
saarī duniyā ne mujhe jaan liyā mere ba.ad
yaar hote to mujhe muñh pe burā kah dete
bazm meñ merā gilā sab ne kiyā mere ba.ad
huuñ par-e-kāh-e-shab-o-roz magar sochtā huuñ
kis ke ghar jā.egā sailāb-e-balā mere ba.ad
is zamīñ meñ vo koī aur ġhazal bhī kahtā
lekin afsos ki 'ġhālib' na huā mere ba.ad
Top Urdushayar.com