agarche kār-e-duniyā kuchh nahīñ hai
magar is ke alāva kuchh nahīñ hai
agar dhartī pe bādal hī na barseñ
to ye dariyā akelā kuchh nahīñ hai
bahut nārāz haiñ ik dūsre se
magar donoñ meñ jhagḌā kuchh nahīñ hai
ye jo kuchh ho rahā hai shahr bhar meñ
tamāshā hai tamāshā kuchh nahīñ hai
ye maiñ huuñ jo badal jaatā huuñ har roz
zamāne meñ badaltā kuchh nahīñ hai
agar jholī na phailā.ī ga.ī ho
to vo bedard detā kuchh nahīñ hai
ye duniyā hai yūñhī chaltī rahegī
mire hone se honā kuchh nahīñ hai