Shahzad Ahmad

sabt hai chehron pe chup ban mein andhera ho chuka

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
sabt hai chehroñ pe chup ban meñ añdherā ho chukā
dekhne aa.e ho kyā logo tamāshā ho chukā
aabrū ke surḳh motī phir se kaale paḌ ga.e
jism ke andar lahū kā rañg piilā ho chukā
hasratoñ ke peḌ sab ke sar se ūñche ho ga.e
aarzū kā zaḳhm pahle se bhī gahrā ho chukā
phir mujhe nādīdanī zanjīr pahnā.ī ga.ī
ilm tak mujh ko nahīñ aur merā saudā ho chukā
bar-sar-e-paikār apne-āp se huuñ kyā karūñ
merā dushman bhī mirī miTTī se paidā ho chukā
kaise TuuTe haiñ diloñ ke bāhamī rishte na pūchh
hai nagar ābād aur har shaḳhs tanhā ho chukā
tum kahe jaate ho aisī fasl-e-gul aa.ī nahīñ
aur agar maiñ ye kahūñ sau baar aisā ho chukā
kaun huuñ maiñ apnī sūrat bhī na pahchānī ga.ī
ā.īna takte hue mujh ko zamāna ho chukā
dekhnā ye hai ki us ke māvarā kyā chiiz hai
ye umīd-o-bīm kā daftar purānā ho chukā
kab talak dil meñ jagah doge havā ke ḳhauf ko
bādbāñ kholo ki mausam kā ishāra ho chukā
ab zabāñ se bhī kaho 'shahzād' kyuuñ ḳhāmosh ho
dil meñ jo kuchh thā vo āñkhoñ se huvaidā ho chukā
Top Urdushayar.com