kab tak kaḌaktī dhuup meñ āñkheñ jalā.eñ ham
saaya dikhā.ī de to kahīñ baiTh jaa.eñ ham
miTtī nahīñ kisī se bhī qurbat kī dūriyāñ
gar kho gayā ho tū to tujhe DhūñD laa.eñ ham
be-nūr ho chalī haiñ tamannā kī bastiyāñ
kab tak charāg-e-yād-e-guzishta jalā.eñ ham
terā vajūd biitī huī zindagī kī yaad
tū aa chuke to shahr meñ dhūmeñ machā.eñ ham
sau tarah kī bahār hai sau rañg kī ḳhizāñ
is dil kī vus.atoñ meñ kahīñ kho na jaa.eñ ham
har sāneha pukār ke kahtā hai chup raho
kab tak diloñ kī baat zabāñ tak na laa.eñ ham
is shahr-e-ḳhāmushī meñ koī jāgtā bhī ho
'shahzād' kis ko sub.h kā muzhda sunā.eñ ham