kitnī be-nūr thī din bhar nazar-e-parvāna
raat aa.ī to huī hai sahar-e-parvāna
sham.a jalte hī yahāñ hashr kā manzar hogā
phir koī pā na sakegā ḳhabar-e-parvāna
bujh ga.ī sham.a kaTī raat ga.ī sab mahfil
ab akele hī kaTegā safar-e-parvāna
raat bhar bazm meñ hañgāma hī hañgāma thā
sirf ḳhāmoshī hai ab nauha-gar-e-parvāna
saarī maḳhlūq tamāshe ke liye aa.ī thī
kaun thā sīkhne vaalā hunar-e-parvāna
āsmāñ surḳh hai sūraj bhī abhī Duubā hai
abhī raushan na karo rahguzar-e-parvāna
na sahī jism magar ḳhaak to uḌtī phirtī
kaash jalte na kabhī bāl-o-par-e-parvāna
sham.a kyā chiiz hai jaltī to kahāñ tak jaltī
abhī zinda hai dil-e-be-ḳhatar-e-parvāna
haa.e vo husn ki jis kā koī mushtāq nahīñ
haa.e vo sham.a ki hai be-ḳhabar-e-parvāna
jis tarah guzregī ye raat guzar jā.egī
muddatoñ yaad rahegā asar-e-parvāna
ek hī jast meñ tai ho ga.ī manzil 'shahzād'
kitne ārām se guzrā safar-e-parvāna