Shahzad Ahmad

bikhre hue taron se meri raat bhari hai

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
bikhre hue tāroñ se mirī raat bharī hai
ye nuur hai yā nuur kī daryūza-garī hai
hai aaj bhī pahlū meñ vahī zaḳhm-e-bahārāñ
ab tak mirī āñkhoñ meñ har ik shāḳh harī hai
duniyā meñ añdheroñ ke sivā aur rahā kyā
ik terī tamannā so charāġh-e-saharī hai
ab saath na de pā.eñge TuuTe hue baazū
uḌte hue lamhoñ se mirī ham-safrī hai
har lahza badaltī huī āñkhoñ pe na jaao
dil ke liye ummīd-e-fazā be-ḳhabarī hai
jalve kī basīrat ko samajhtī nahīñ āñkheñ
ā.īne kā maqdūr pareshāñ-nazarī hai
uḌte hue aate haiñ abhī sañg-e-tamannā
aur kār-gah-e-dil kī vahī shīshagarī hai
chup-chāp darīchoñ kī taraf dekhte phirnā
zinda haiñ to 'shahzād' yahī dar-badrī hai
Top Urdushayar.com