Shahzad Ahmad

apni taswir ko aankhon se lagata kya hai

Shahzad Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1932-2012
apnī tasvīr ko āñkhoñ se lagātā kyā hai
ik nazar merī taraf bhī tirā jaatā kyā hai
merī rusvā.ī meñ vo bhī haiñ barābar ke sharīk
mere qisse mire yāroñ ko sunātā kyā hai
paas rah kar bhī na pahchān sakā tū mujh ko
duur se dekh ke ab haath hilātā kyā hai
zehn ke pardoñ pe manzil ke hayūle na banā
ġhaur se dekhtā jā raah meñ aatā kyā hai
zaḳhm-e-dil jurm nahīñ toḌ bhī de mohr-e-sukūt
jo tujhe jānte haiñ un se chhupātā kyā hai
safar-e-shauq meñ kyuuñ kāñpte haiñ paañv tire
aañkh rakhtā hai to phir aañkh churātā kyā hai
umr bhar apne garebāñ se ulajhne vaale
tū mujhe mere hī saa.e se Darātā kyā hai
chāñdnī dekh ke chehre ko chhupāne vaale
dhuup meñ baiTh ke ab baal sukhātā kyā hai
mar ga.e pyaas ke maare to uThā abr-e-karam
bujh ga.ī bazm to ab sham.a jalātā kyā hai
maiñ tirā kuchh bhī nahīñ huuñ magar itnā to batā
dekh kar mujh ko tire zehn meñ aatā kyā hai
terā ehsās zarā sā tirī hastī pāyāb
to samundar kī tarah shor machātā kyā hai
tujh meñ kas-bal hai to duniyā ko bahā kar le jā
chaa.e kī pyālī meñ tūfān uThātā kyā hai
terī āvāz kā jaadū na chalegā un par
jāgne vāloñ ko 'shahzād' jagātā kyā hai
Top Urdushayar.com